To see our videos go to this link.. Go Now!

Shiv Amritwani Song Lyrics - Anuradha Paudwal

Shiv Amritwani Song Lyrics - Anuradha Paudwal, Kaltaru punyaatma prem sudha shiv naam
Anuradha Paudwal and T-Series Bhakti Sagar present "Shiv Amritwani". This new song features and is sung by Anuradha Paudwal. The music is composed of Surinder Kohli and lyrics are penned by Balbir Nirdosh.

Shiv Amritwani Song Credit:

Shiv Amritwani Song Lyrics:

Kaltaru punyaatma prem sudha shiv naam
Hitkarak sanjivani shiv chintan aviram
Patit paavan jaise madhur shiv rasna ke ghol
Bhakti ke hansa hi chuge moti ye anmol
Jaise tanik suhaga sone ko chamkaye
Shiv sumiran se aatma adbhut nikhri jaaye
Jaise chandan vriksh ko daste nahi hai naag
Shiv bhakto ke chole ko kabhi lage na daag
Om namah shivaay om namah shivaay

Daya nidhi bhuteshwar shiv hai chatur sujaan
Kan kan bhitar hai base nilkanth bhagwan
Chandchud trinetra uma pati vishwesh
Sharanagat ke ye sada kate sakal kalesh
Shiv dware prapanch ka chal nahi sakta khel
Aag aur paani ka jaise hota nahi hai mel
Bhay bhanjan natraj hai damruwale nath
Shiv ka vandan jo kare shiv hai unke saath
Om namah shivaay om namah shivaay
Lakho ashwmegh ho so ganga snan
Unse uttam hai kahi shiv charno ka dhyan
Alakh niranjan naad se upje aatm gyan
Bhatke ko rasta mile mushkil ho asaan
Amar guno ki khaan hai chit shuddhi shiv jaap
Sat sangat mein baith ke karlo pachyataap
Lingeshwar ke manan se sidhh ho jaate kaaj
Namah shivaay rat-ta jaa shiv rakhenge laaz
Om namah shivaay om namah shivaay

Shiv charno ko chune se tan man paavan hoye
Shiv ke roop anup ki samta kare na koi
Mahabali mahadev hai mahaprabhu mahakaal
Asurnikandan bhakt ki peeda hare tatkaal
Sarv vyapi shiv bhola dharm roop sukh kaaj
Amar ananta bhagvanta jag ke paalan har
Shiv karta sansar ke shiv srishti ke mul
Rom rom shiv ramne do shiv na jaio bhul
Om namah shivaay om namah shivaay
Om namah shivaay om namah shivaay
Om namah shivaay om namah shivaay
Om namah shivaay om namah shivaay

Shivamrit ki paavan dhara dho deti har kasht hamara
Shiv ka path sada sukhdai shiv ke bin hai kaun sahayi
Shiv ki nisdin ki jo bhakti denge shiv har bhay se mukti
Mathe dharo dhiv naam ki dhuli tut jayegi yam ki sooli

Shiv ka sadhak dukh na mane shiv ko harpal sammukh jaane
Saup di jisne shiv ko dor lute na usko pancho chor

Shiv saagar mein jo jan doobe sankat se woh hans ke juje
Shiv hai jinke sangisathi unhe vipda kabhi sataati

Shiv bhaktan ka pakde haath shiv santan ke sada hi saath
Shiv ne hai brahmand rachaya teen lok hai shiv ki maaya

Jin pe shiv ki karuna hoti woh kankad ban jaate moti
Shiv sang taar prem ke jodo shiv ke charan kabhi na chhodo

Shiv mein manva man ko rang le shiv mastak ki rekha badle
Shiv har jan ki nas nas jaane bura bhala ve sab pahchane

Ajar amar hai shiv avinashi shiv pujan se kate chaurasi
Yahan wahan shiv sarv vyapak shiv ki daya ke baniye yachak

Shiv ko dijo sachhi nishtha hone na dena shiv ko rushta
Shiv hai shraddha ke hi bhookhe bhog lage chahe rukhe sukhe

Bhavna shiv ko bas mein karti preet se hi to preet hai badhti
Shiv kahte hai man se jaago prem karo abhimaan tyago
Doha :

Duniya ka moh tyaag ke shiv mein rahiye leen
Sukh dukh hani-labh to shiv ke hi hai aadhin

Bhashm ramaiya parvati vallabh shiv phaldayak shiv hai durlabh
Maha kautuki hai shiv shankar trishul dhari shiv abhayankar

Shiv ki rachna dharti ambar devo ke swami shiv hai digambar
Kaal ka dahan shiv rundan poshit hone na dete dharm ko dushit

Durgapati shiv girijanath dete hai sukho ki prabhaat
Srustikarta tripurdhari shiv ki mahima kahi na jaati

Divya tez ke ravi hai shankar pooje ham sab tabhi hai shankar
Shiv sam aur koi na daani shiv ki bhakti hai kalyaani

Kehte munivar guni sthani shiv ki baate shiv hi jaane
Bhakton ka hai shiv priya halaahal neki ka ras baantate harpal

Sabke manorath siddh kar dete sabki chinta shiv har lete
Bam bhole avdhoot swaroopa shiv darshan hai ati anupa

Anukampa ka shiv hai zarna harne wale sabki trushna
Bhooto ke adhipati hai shankar nirmal man shubh mati hai shankar

Kaam ke shatru vish ke nashak shiv mahayogi bhay vinashak
Rudra roop shiv mahatezsvi shiv ke jaisa kaun tapasvi

Himgiri parvat shiv ka dera shiv sammukh na tike andhera
Laakho sooraj ki shiv jyoti shastron mein shiv upmaan hoti

Shiv hai jag ke sirjan hare bandhu sakha shiv isht hamare
Gau brahman ke ve hitkari koi na shiv saa par upkari
Doha :

Shiv karuna ke strot hai shiv se kariyo preet
Shiv hi param punit hai shiv sache man meet

Shiv sarpo ke bhushandhari paap ke bhakshan shiv tripurari
Jatajut shiv chandrashekhar vishv ke rakshak kala kaleshvar

Shiv ki vandana karnewale dhan vaibhav paa jaaye nirala
Kasth nivarak shiv ki pooja shiv sa dayalu aur na dooja

Panchmukhi jab roop dikhave danav dal mein bhay chha jaave
Dam dam damroo jab bhi bole chor nishachar ka man dole

Ghot ghat jab bhang chadhave kya hai leela samjh na aave
Shiv hai yogi shiv sanyasi shiv hi hai kailaash ke vasi

Shiv ka das sada nirbhik shiv ke dhaam bade ramnik
Shiv bhrukuti se bhairav janme shiv ki murat rakho man mein

Shiv ka archan mangalkari mukti sadhan bhav bhayhari
Bhakt vatsal din dayala gyan sudha hai shiv kripala

Shiv naam ki nauka hai nyari jisne sabki chinta taari
Jeevan sindhu sahej jo tarna shiv ka harpal naam sumirna

Tarkasur ko marnewale shiv hai bhakto ke rakhwale
Shiv ki leela ke gun gaan shiv ko bhul ke na bisrana

Andhkasur se dev bachaye shiv ne adbhut khel dikhaye
Shiv charn

Getting Info...

একটি মন্তব্য পোস্ট করুন

Cookie Consent
We serve cookies on this site to analyze traffic, remember your preferences, and optimize your experience.
Oops!
It seems there is something wrong with your internet connection. Please connect to the internet and start browsing again.
AdBlock Detected!
We have detected that you are using adblocking plugin in your browser.
The revenue we earn by the advertisements is used to manage this website, we request you to whitelist our website in your adblocking plugin.
Site is Blocked
Sorry! This site is not available in your country.